Death Note - Manga/Anime

Ben10 - Animated series

Ben10 - Metal fusion

Anime facts

Latest Posts

Thursday, October 22, 2020

Why you should watch Anime ?

Kanhu roman

  

What is Anime ? 

  Anime , computer animation se bane TV shows ya phir movies hote hai . Aur anime bante hai Japan Mai aur zaroori nahi ki sirf Japan Mai hi bante hai , china , Korea aur abhi India bhi anime bana Raha hai . 


Voice Acting -

 Jyadatar anime Japan Mai bante hai . Anime ke ander bahat hi badhia voice acting hota hai by Japanese voice actors .

Woh log apne characters ke ander itna ghus jaate hai ki , jab aap anime dekhte ho toh aapko characters ke emotions seen hote hai . App bilkul bhul jate ho ki Jo aap dekh rehe ho woh ek animation hai . Toh jab bhi aap anime dekhne jao toh kabhi ye mat sochna ki ye toh Japanese Mai hai kaun dekhega , aap subtitles ke saath dekho tabhi bahat Maja aayega .


Animation - 

 Anime ke ander animation Mai bahat hi jyada dhyan diya jata hai chhoti se chhoti cheese per . Jo animators hote hai woh bahat mehnat karte hai ek anime ko animate Karne keliye , taaki ek achha output nikal ke aaye . 


Sound tracks -

 Sound tracks... Haan guys anime ke ander baht hi jyada Kamal ke sound tracks hote hai , chahe woh background song ho ya phir opening ya ending song ho .  Background songs Jo hote hai woh itne achhe hote hai ki jab kisi moment Mai play hote ho woh direct aapko hit karte hai . Aap her ek moment ko acche se feel karte ho . Anime ke opening aur ending song ko starting Mai  bhale hi aap skip kardoge lekin jab woh anime end hojayega tab aab khud jaake us anime ka opening ya ending song ko phirse jaake sunoge , Kyu ki aap us anime ko miss Kar rehe ho jisko aapne abhi dekha tha . 

 Soundtracks bhale hi Japanese Mai hote hai , but who cares Music has no language.


You learn new things -

  Yes , aap new cheesein sikhte ho . For example 2019 Mai ek anime aaya tha Doctor's stone , and I really love that anime . Agar aapko science pasand hai toh aapko woh anime zaroor dekhna chahiye aur agar science pasand nahi hai tab bhi ek baar dekhlena Kyu ki usme aapko baht cheese sikhne ko milega . 


You learn about human nature - 

  Humans ke Jo natures hote hai anime ke zariye uske baareimai aap aur jyada Jan pate hai . Example keliye Attack on Titan ke first episode ka scene bataunga , jisme Arron ke mother ko jab ek Titan Khana hi Wala hai tab Aaron aur Mikasa unko bachane keliye jab jaate hai tab Aaron ke mother bolte hai ki unka legs cross hochuka hai aur agar tum mujhe yahan se nikal bhi Doge tab bhi Mai nahi ja paunga aur itne Mai bhi woh Titan paas aaraha hota hai . Ab Jo henes naam ka character hai woh un dono ko leke bhag jata hai unko bachane keliye , Aaron ke mom waha rehjati hai .

   Agar aapne woh scene dhyan se nahi dekha hai toh Mai aapko Bata doon , ye scene bahat hi jyada deep hai. Jab henes , Mikasa aur Aaron le jata hai tab uski mom bolti hai " Live on " . Aaron ki mom , as a mother yehi chahti hai ki uske Jo kids hai woh zinda Bach Jayen , esiliye woh khud ko sacrifice Kar rehi hai . Lekin next moment Mai Kya hoti hai ki she got terrified & she says don't go . Yaha pe hume pata chalta hai ki , woh bhi marna nahi chahti , woh chahti hai ki Woh abhi apne kids ke saath Jaye . Aaron ke mom's ki Jo mother side this woh chahti hai ki uske Jo kids hai woh Bach Jaye aur uske ander Jo human tha woh marna nahi chahta tha , woh chahta tha ussey bhi waha se bacha liya Jaye . 

  To aapko pata chal geya hoga ki anime sirf bachhon keliye nahi hai aur na sirf cartoon hai .


Motivation - 

  Anime dekhne se bahat hi jyada motivation milta hai . Aur kuch anime toh ese hote hai Jo aapko baht hi jyada inspire karte hai . Example keliye Naruto , dragon Ball , Hunter Hunter aur one piece , jab aap ese anime dekhte ho , you learn about hard work setting your goal and about practicing . Ese shows ki characters ko dekhke aapko lagega ki yaar mujhe bhi esa ban na chahiye . Mujhe bhi apne goal ko haasil karne keliye ese hi hardwork karna hai . And this is why we love anime .


Life lessons - 

  Anime dekhne se motivation ke saath saath life lessons bhi milte hai . Grave of the firefiles se Hume ye sikhne ko Mila ki food kitna important hota hai . Aur Naruto se Hume ye sikhne ko milta hai ki humare liye parents kitne important hote hai . Sabhi anime se Hume kuchna kuch sikhne ko milta hai . 


Content - 

  Aapko Bata doon Mai sabkuch dekhta hoon. Hollywood, Bollywood , south , Korea drama , aur ollywood bhi , Mai sab kuch dekhleta hoon , mujhe bas Matlab hai content se , language se mujhe koi problem nahi . Mujhe bas neeche subtitles chahiye aur kuch nahi . Mai itna sab kuch dekh Chuka hoon , lekin mujhe sabse jyada content Mila anime ke ander . Mere Jo frnds hai woh mirzapur aur sacred games dekhke itna pagal hojate hai toh mere dimag Mai ye sawal aata hai ki agar tumne anime dekha hota toh tumhe pata chalta content Kya cheese . Mai ye nahi kehraha ki ye do series kharap hai , Mai ye bol Raha hoon ki inse aage bhi bahat si chhesein hai dekhne ko . Anime ke ander action , romance , comedy sab hai .


Kayin anime Netflix Mai hai aur kayin anime Amazon prime Mai hai aur ya phir crunchyroll app download karke bhi anime dekhsakte hai . 

Tower Of God

Kanhu roman

4-5months pehle mujhe es manga ke baareimai pata Chala , toh Maine socha agar popular hai toh overrated hoga . Lekin mujhe baad Mai pata Chala ki ye Korean hai , aur I love Korean . Toh mujhe laga Korean hai toh achha hoga aur dekh lete hai . 



Toh Maine jab anime ka episode 1 dekha toh ye anime mujhe thoda unique laga , ye toh nahi kahunga ki story unique tha lekin uski Jo vibes thi woh thoda unique tha . Iska Jo music tha , woh thoda Chinese type ka laga mujhe , aur achha laga mujhe .


  Lekin sikke ka dusra pehlu tab mere samne aata hai jab Mai iska manga padha .

  Toh es story ka main character Jiska ma'am Baam hota hai , woh ek tower per chadhna chahta hai jisko kaha jaata hai Tower of God . Woh esiliye chadha chahte hai , uska Jo girlfriend hai woh bhi us tower per gayi hai . Ab Baam ko para nahi hai ki Woh tower per chadh gayi hai ya nahi aur Hume bhi pata nahi hai . Toh kahani esi per hi based hai . Kya Baam uski GF se mil payega , aur Kya woh tower per chadh payega ?? Kyu ki tower challenges se bhara hua hai . Her ek Flor Mai alag alag challenge hai .


 Agar Mai baat karoon iski story milti julti kis anime se hai toh woh anime hai   Hunter × Hunter .  Kyu ki jab Mai Tower of god ka manga padh Raha tha toh mere mind Mai ek hi doubt aara tha , " tu ye hunter hunter ki manga dubara Kyu padh Raha hai ??" ๐Ÿ˜…๐Ÿ˜…. 


   Jaise ki hunter×hunter anime Mai Hunter ban ne keliye ek exam Dena padta tha Jo ki baht khatarnat tha wese hai es anime bhi exam hai .

     Aur second similarity tab saamne aata hai , Jab kaha jaata hai ki tum tower per tabtak nahi chadhpaoge , jabtak Shinshoo tumhe accept nahi karega . Aur hunter hunter Mai bhi esa hi kuch kaha geya tha .


     Es anime Mai mujhe ek chhese achhi nahi lagi , es anime Mai Jo chhote mote characters hai unka visuality kuch khas nahi laga . Matlab esa kuch ki chehra dekhke power dijati hai ๐Ÿ˜…๐Ÿ˜… .

     Ye series esiliye bahat jyada popular hai Kyu iski Jo characters hai woh baht jyada popular hai . Aur es anime ki sabse special baat hai , iski Mystery . 

 Agar aapne manga padha hoga toh aapko ye pata hoga ki anime Mai bahat saare scene kaate Gaye hai manga se . Waise agar aapne ye  Anime nahi dekha toh ek baar dekhlena aur mujhe batana aapko ye anime kaisa laga . 

Wednesday, October 21, 2020

Facts About Naruto

Kanhu roman


I think Naruto ek legendary anime series hai , agar aapne ye anime nahi dekha toh zarror ek baar dekhlena . 


Fact No 1 -  Kya aapko pata hai ki Pehle Naruto ki setting ek modern world Mai thi . Matlab woh log ek modern world ke rehne wale the . Lekin editor ne usko reject kardiya , toh phir Naruto ke author isme bahat saare changes Kiya aur phir jaake ye accept hua . 




  Agar ye pehle hi accept ho jata toh Hume Naruto modern world Mai dekhne ko milta. 


Fact No 2 - Ye Wala fact mujhe baht interesting laga , Naruto series ka inspiration Dragon Ball series se tha . 



Naruto series ke writer Dragon Ball series ka bahat bade fan the . Woh dragon Ball ke character , moves , rivals etc insab chizon ke baht bade fan the . 


Fact No 3 - Naruto ke Japanese series Mai , Naruto humesha Dattebayo bolta rehta hai , but Dattebayo ka koi meaning hi nahi hai !! 



Lekin jab Naruto ko English Mai translate Kar rehe the , tab English dubbed write Dattebayo ko hatakar Billibit kardiya . Lekin ye bhi thoda irritate lagta tha . 


Fact No 4 -  Naruto series ka naam change karke Naruto Shippuden rakha geya tha . Anime Mai episode 220 ke baad ek Naya season ร ya , jiska naam Naruto Shippuden tha . 



Iska reason baht simple tha , Naruto ke writer ko Naruto aur uske characters jaise saske , saasura aur Akatch jaise Team ko bahat strong banana tha , toh ye sab haasil karne keliye writer ne story Mei time skip Kiya aur saare characters ko ek Naya design Diya . 


Fact No 5 - Naruto ke writer ko Naruto ke goggles banane Mai bahat time lagjata tha . Esiliye unohne head band banaya , jis se ki unka time Bach Jaye . 


Fact No 6 - Naruto ke writer ka honeymoon Naruto series ke waje se postponed hogeya tha. 



Naruto itna famous hogeya tha ki , market Mai uska demand bahat badhgeya tha . Toh deadline pura Karne keliye writer ko continuously Kam karna pad raha tha bina break ke . Aur iske liye unko apna honeymoon cancel karna pada .


Fact No 7 - Naruto Puri duniya ki 3rd  sabsej bikne Wali Manga hai . First Mai hai one piece aur second Mai hai Dragon Ball . Naruto ki total 100M copies sale huyi thi , jisse unko 220M ka profit hua tha .


 So these are some Facts about Naruto .

Sunday, October 18, 2020

Facts of Anime - In Hindi

Kanhu roman

 


      Toh Kya aapko pata hai ki es duniya Mai jitne bhi Animated movies aur Animated series banti hai , unmese 60% toh Japanese Anime hi hai . Actually Japanese Anime bahat hi bada hai .... Jaha pe aap bachpan Mai bahat saare Cartoon dekhe honge jaise ki Doraemon , Shin Chan ye sab Anime category Mai hi aata hai .

        Jab bhi baat aati hai Anime ki toh usme sabse uper aata hai Death Note , Kyu ki death note ek baht hi achhi series hai . Aur agar aapne ye series dekha hai toh aapko pata hoga ki Mai esa Kyu bol Raha hoon.... Aur agar aapne abhi Tak nahi dekha hai toh zaroor ek base dekhlena . 

  

     Ye series ko China country Mai banned Kiya geya hai . Darasal unka kehna tha ki unki country Mai bahat saare bachhe Death Note se inspire hoke apne teachers ke naam ek note pe likhne lage taaki woh Mar Jaye . Esiliye China ke logo ne es series ko apne country Mai Band kardiya tha. 
  Waise unohne sirf Death Note ko hi nahi aur bhi baht saare Anime series ko Bann kardiye hai jaise ki Attack on Titan & Phycho-pass


      Agar aapne Attack on Titan series dekhi hogi toh usme aapne ek cheese notice ki hogi ki usme Jo Titans dikhaye Gaye hai unke Chalne ki tarika alag hi hota hai , ese lagta hai ki jaise woh nashe Mai hote hai .
  Toh es series ke Jo writer hai unka ye kehna hai ki , Woh pehle ek internet cafe Mai kaam karte the aur unke cafe Mai ek baar ek customer aaya jisne ki drink Kari rakhi thi aur woh nashe Mai tha aur uska Jo chalne ka andaz tha... Usise inspire hoke unohne Attack on Titan series Mai en Titans ko banaya tha . Esiliye Titans ese lagte hai jaise nashe Mai ho . 


        Ek movie hai Jiska naam hai Spirited away , ye movie asal Mai bahat achhi movie thi aur aapko ek baar zaroor dekhna chahiye . 


Ye pehli ek Animated movie ban gayi thi jisne ki Academic award jita ho . Academic  award ko hum Oscar bhi kehte hai . Aur ye itni jyada popular hogayi thi ki tab iss movie ne sabse jyada kamai karne wali Anime movie ban geyi thi (275M) . 


      Toh agar Mai baat karoon ek Animated ya phir ek anime series ki  toh aap andaza lagao ki esi kaunsi animated series hai jisme ki sabse jyada episodes ho . 
   Ho sakta hai woh Doraemon ho . Kyu ki Doraemon Mai 1787episodes hai. Lekin sabse jyada episodes hone wali animated series ka record  Sazae san naam ki ek animated series ke paas hai .


 Shayad issey pehle aap es series ka naam nahi suna hoga ... Jisme ki 7k+ episodes hai .

Saturday, October 17, 2020

BEN 10

Kanhu roman


        Ben 10 ek animated American tv show hai jisko Man of Action studios ne create Kiya tha aur produce Kiya tha Cartoon Network ne , Jo ki humara favorite channel hai ๐Ÿ˜…๐Ÿ˜… .


          Ben 10 series Mai , main character pe ek 10saal ka ladka hota hai Jiska naam hai Ben Tennyson . Ben aur uska cousin Gwen holidays apne grandfather Max Tennyson ke saath ek bus Mai ghumne jaate hai . Ek din sky se kuch jalta hua ek box neeche girta hai , jisko Ben dekh leta hai aur uske paas jata hai aur wahi box mese Ben ko milta hai ek Alien watch Jiska naam hota hai Omnitrix . 



Ben Omnitrix ke madat se 10 aliens Mai transform ho sakta hai , esiliye show ka naam Ben 10 hai . Ben 10 esi Omnitrix ke saahare  extra super power wale villains ke saath kis tarah ladhta hai , ye iss show Mai dikhaya geya hai .

  Ye tv show ki total 5 series hai . Aur sabse pehla hai Ben10 classic .


Toh Ben10 ka second series hai Ben10 Alien force . Es series ki story Ben10 classic ki story se 5 years aage hai , yaani ki es story Mai Ben ka age 15saal hai . 


Ye series mai Ben ka purana Omnitrix update ho jaata hai jisme kuch new Aliens aachuke hote hai . 


 Aur phir Hume last ke episodes Mai ye dikhaya jaata hai ki Vilgax , Jo Ben10 ki sabse bade villain Mai se ek hai , woh Ben se Omnitrix chhin leta hai . 


 

Then Ben aur Vilgax ke beech huye aakhri fight Mai Vilgam Mai haat Mai bandha Omnitrix fatt jata hai . Then Ben , Alvido se uska ultimetrix  le leta hai aur uski madat se woh Vilgax ko Hara deta hai .                           

       Aur yahan se start hota hai humara next series "Ben10 Ultimate Alien" .



       Es series Mai Hume ye dikhaya jaata hai ki , Ben ab apne aliens ko ultimate form Mai transform Kar sakta hai . Aur woh chahe toh kisi dusri Alien ka DNA scan karke uska Roop bhi le sakta hai . 


 Then aakhri ke episodes Mai ye dikhaya jaata hai ki Azmuth , jisne Omnitrix ko banaya tha woh Ben Mai Omnitrix le leta hai aur Ben ko ek new Omnitrix deta hai... Jaha se Ben10 aur ek new series start hota hai .


Ye series kuch khas nahi hai . Isme Ben ko Azmuth se ek naya Omnitrix milta hai aur jisme kuch new aliens hote hai . 

 Es series aur iska aage waala series ka rating kuch khas nahi hai aur animation bhi itna achha nahi hai esiliye ye dono series ko logo se bahat hate Mila . 


   Ben10 ke uper abhi Tak 2 Animated movies bane hai . Ek hai BEN10 SECRETS OF OMNITRIX aur BEN10 DESTROY ALL ALIENS . 

   TV shows aur Films ke alawa Ben10 ke uper bahat saare comics bhi bane hai aur bahat saare video games bhi . 

 

Friday, October 16, 2020

Beyblade - Metal fusion

Kanhu roman

 


Childhood Mai almost sabhi kids ka favorite channel tha "Cartoon Network " (Mera bhi tha ๐Ÿ˜…) . Usme baht saare anime show deta tha , like Tom and Jerry , Dragon Ball G , Pokemon , Beyblade , Ben10 etc . Itne saare shows Mai se Beyblade aur Ben10 , ye do shows Mera favorite tha ( I think aap sabka bhi hoga) .



  

  DIRECTOR -  Kunihisa Sugishima

  EPISODES COUNT - 51

  ORIGINAL RUN - April 5 , 2009 - March 28


So in the beginning , Ek young beyblader ( Gingka hagane ) apne past ke baareimai search karte huye Metal bey city Mai pahanch ta hai apne Partner Storm pegasus ke saath . 




Metal bey city Mai woh pehle keenta se milta hai aur keenta ko Benkei aur uske groups se bachata hai jinka Leader tha Kyoya . 



Benkei ko defeat karne ke baad Gingka ko kyoya challenge karta hai .




 Ese kuch interesting rivals ke baad Gingka beyblade battle Mai hissa leta hai aur waha Ginka ka saamna hota hai Ryuga ( With his partner Ldrago) ke saath .




 Beyblade is one of my favorite anime . I love it when I am in class 2 . My Favorite character is Gingka hagane And also Ryuga . Ryuga was more powerful than Gingka , he also have the dark power .


How much you like this show ?????

IPL 2020

Kanhu roman

 So the 13 season of IPL from UAE is now rocking . All the teams are playing well . 

Something is happening good during this pandemic , that is IPL2020 .


 


The IPL is the most-attended cricket league in the world and in 2014 ranked sixth by average attendance among all sports leagues. In 2010, the IPL became the first sporting event in the world to be broadcast live on YouTube.The brand value of the IPL in 2019 was 475 billion (US$6.7 billion), according to Duff & Phelps. According to BCCI, the 2015 IPL season contributed 11.5 billion (US$160 million) to the GDP of the Indian economy.

There have been twelve seasons of the IPL tournament. The current IPL title holders are the Mumbai Indians, who won the 2019 season.The venue for the 2020 seasonhas been moved, due to the ongoing COVID-19 pandemic; games are now taking place in the United Arab Emirates from 19 September through 10 November 2020.


 This year , many youngsters get chances to play IPL . 

Here’s a look at some of those names that could impress the Indian selectors with their performances in this IPL.







So, what you think... Who will win this year ??

The defending champion MI !! Or the Mahi's team CSK !! 






Our Team

  • KanhuRomanE-Hacker
  • Syed Faizan AliMaster / Computers
  • Syed Faizan AliMaster / Computers
  • Syed Faizan AliMaster / Computers
  • Syed Faizan AliMaster / Computers