I think Naruto ek legendary anime series hai , agar aapne ye anime nahi dekha toh zarror ek baar dekhlena .
Fact No 1 - Kya aapko pata hai ki Pehle Naruto ki setting ek modern world Mai thi . Matlab woh log ek modern world ke rehne wale the . Lekin editor ne usko reject kardiya , toh phir Naruto ke author isme bahat saare changes Kiya aur phir jaake ye accept hua .
Agar ye pehle hi accept ho jata toh Hume Naruto modern world Mai dekhne ko milta.
Fact No 2 - Ye Wala fact mujhe baht interesting laga , Naruto series ka inspiration Dragon Ball series se tha .
Naruto series ke writer Dragon Ball series ka bahat bade fan the . Woh dragon Ball ke character , moves , rivals etc insab chizon ke baht bade fan the .
Fact No 3 - Naruto ke Japanese series Mai , Naruto humesha Dattebayo bolta rehta hai , but Dattebayo ka koi meaning hi nahi hai !!
Lekin jab Naruto ko English Mai translate Kar rehe the , tab English dubbed write Dattebayo ko hatakar Billibit kardiya . Lekin ye bhi thoda irritate lagta tha .
Fact No 4 - Naruto series ka naam change karke Naruto Shippuden rakha geya tha . Anime Mai episode 220 ke baad ek Naya season àya , jiska naam Naruto Shippuden tha .
Iska reason baht simple tha , Naruto ke writer ko Naruto aur uske characters jaise saske , saasura aur Akatch jaise Team ko bahat strong banana tha , toh ye sab haasil karne keliye writer ne story Mei time skip Kiya aur saare characters ko ek Naya design Diya .
Fact No 5 - Naruto ke writer ko Naruto ke goggles banane Mai bahat time lagjata tha . Esiliye unohne head band banaya , jis se ki unka time Bach Jaye .
Fact No 6 - Naruto ke writer ka honeymoon Naruto series ke waje se postponed hogeya tha.
Naruto itna famous hogeya tha ki , market Mai uska demand bahat badhgeya tha . Toh deadline pura Karne keliye writer ko continuously Kam karna pad raha tha bina break ke . Aur iske liye unko apna honeymoon cancel karna pada .
Fact No 7 - Naruto Puri duniya ki 3rd sabsej bikne Wali Manga hai . First Mai hai one piece aur second Mai hai Dragon Ball . Naruto ki total 100M copies sale huyi thi , jisse unko 220M ka profit hua tha .
So these are some Facts about Naruto .
0 comments:
Post a Comment