Sunday, October 18, 2020

Facts of Anime - In Hindi

 


      Toh Kya aapko pata hai ki es duniya Mai jitne bhi Animated movies aur Animated series banti hai , unmese 60% toh Japanese Anime hi hai . Actually Japanese Anime bahat hi bada hai .... Jaha pe aap bachpan Mai bahat saare Cartoon dekhe honge jaise ki Doraemon , Shin Chan ye sab Anime category Mai hi aata hai .

        Jab bhi baat aati hai Anime ki toh usme sabse uper aata hai Death Note , Kyu ki death note ek baht hi achhi series hai . Aur agar aapne ye series dekha hai toh aapko pata hoga ki Mai esa Kyu bol Raha hoon.... Aur agar aapne abhi Tak nahi dekha hai toh zaroor ek base dekhlena . 

  

     Ye series ko China country Mai banned Kiya geya hai . Darasal unka kehna tha ki unki country Mai bahat saare bachhe Death Note se inspire hoke apne teachers ke naam ek note pe likhne lage taaki woh Mar Jaye . Esiliye China ke logo ne es series ko apne country Mai Band kardiya tha. 
  Waise unohne sirf Death Note ko hi nahi aur bhi baht saare Anime series ko Bann kardiye hai jaise ki Attack on Titan & Phycho-pass


      Agar aapne Attack on Titan series dekhi hogi toh usme aapne ek cheese notice ki hogi ki usme Jo Titans dikhaye Gaye hai unke Chalne ki tarika alag hi hota hai , ese lagta hai ki jaise woh nashe Mai hote hai .
  Toh es series ke Jo writer hai unka ye kehna hai ki , Woh pehle ek internet cafe Mai kaam karte the aur unke cafe Mai ek baar ek customer aaya jisne ki drink Kari rakhi thi aur woh nashe Mai tha aur uska Jo chalne ka andaz tha... Usise inspire hoke unohne Attack on Titan series Mai en Titans ko banaya tha . Esiliye Titans ese lagte hai jaise nashe Mai ho . 


        Ek movie hai Jiska naam hai Spirited away , ye movie asal Mai bahat achhi movie thi aur aapko ek baar zaroor dekhna chahiye . 


Ye pehli ek Animated movie ban gayi thi jisne ki Academic award jita ho . Academic  award ko hum Oscar bhi kehte hai . Aur ye itni jyada popular hogayi thi ki tab iss movie ne sabse jyada kamai karne wali Anime movie ban geyi thi (275M) . 


      Toh agar Mai baat karoon ek Animated ya phir ek anime series ki  toh aap andaza lagao ki esi kaunsi animated series hai jisme ki sabse jyada episodes ho . 
   Ho sakta hai woh Doraemon ho . Kyu ki Doraemon Mai 1787episodes hai. Lekin sabse jyada episodes hone wali animated series ka record  Sazae san naam ki ek animated series ke paas hai .


 Shayad issey pehle aap es series ka naam nahi suna hoga ... Jisme ki 7k+ episodes hai .

Kanhu roman

Author & Editor

Has laoreet percipitur ad. Vide interesset in mei, no his legimus verterem. Et nostrum imperdiet appellantur usu, mnesarchum referrentur id vim.

0 comments:

Post a Comment